Kachha Ghada Lyrics
Rahgir
Lyrics
Ek kachha ghada hun mai
Ek kachha ghada hun mai
Phir bhi barsat mai khada hun mai
Boonde behrahem hai unko yeh wahem hai
Ke mai toot rha hun jo mai cheekh rha hun
Par woh bewakoof hai mai toh seekh rha hun
Aise pehle bhi lada hun mai
Ek kachha ghada hun mai
Hum woh hai jo kismat ke chaanto ke shor pe naachte hai
Hum woh hai jo kismat ke chaanto ke shor pe naachte hai
Jitni jor ka chanta hum utni jor se naachte hai
Yeh jo khisak khisak ke mai aage jaa rha hun
Yeh jo phisal phisal ke mai peeche aa rha hun
Yeh jo pighal pighal ke mai behta jaa rha hun
Yeh jo sisak sisak ke mai aanhe bhar rha hun
Neeche hai khaiya aur mai kaanp rha hun
Par jinda hun abhi abhi haanf rha hun
Aise pehle bhi chadha hun mai
Ek kachha ghada hun mai
Ek toh raahon mai babool bhot hai uske upar se apne usool bhot hai
Uske upar se sab tokte rehte hai ki rahgir bhai udhar jao
Udhar phool bhot hai
Yeh jo has rhi hai duniya meri naakamiyo pe
Taane kas rhi hai duniya meri naadaniyo pe
Par mai kaam kar rha hun meri saari khaamiyo pe
Kal yeh maarenge taali meri kahaniyon pe
Kal jo badlegi hawa yeh saale sharmayenge
Hamare apne ho keh ke yeh baahein garmayenge
Kyuki jiddi bada hun mai
Ek kachha ghada hun mai
Phir bhi barsat mai khada hun mai
Boonde behrahem hai unko yeh wahem hai
Ki mai toot rha hun jo mai cheekh rha hun
Par woh bewakoof hai mai toh seekh rha hun
Aise pehle bhi lada hun mai
Ek kachha ghada hun mai
Song & Lyrics Facts
Rahgir - Kachha Ghada is a song released in 2018 by the Indian band, The Local Train. It was included on their album Aalas Ka Pedh and was written by Raman Negi and Paras Thakur.
This track has become one of their most popular songs due to its melodic riffs and uplifting lyrics. It speaks about how life can be unpredictable but if you stay true to yourself, you will always find yourself surrounded with people who love and support you. The lyrics of this song are especially meaningful as they convey the message that even when things don't go your way, there is still hope for happiness.